Thursday 22 August 2013

Eid Bhi Aur Teej Bhi

Aavo tayohaar hum aise manayen desh mein,
Eid mein ho dewali aur dewali mein Eid ho,
Hindu ko apne dil mein dikhe Mohamad
Aur Muslim ko ankhun se Ram ki deedh ho.

Khusiyun milen gi sabko, badh gayi hai yeh umeed
Kyon ki aaj hi hai Teej, aur aaj hi hai aayi Eid
Hindu Muslim Sikh Esai,mill k manaye ge donu
Teej bhi hai hamari, aur nahi hai parai Eid


Hamare desh mein tayohaarun ki ronak ajeeb hai
Har Sehar Kasba aur Gaon dulhan sa sajta hai
Gali kuchun mein hoti hai dhol baaje ki ghoonj
Aur insaanu k mann mein bhi nagara bajta hai

Tayohaar mil k manaye jayen, hai yeh apni parampara
Sajdaj k ladke Raja lagen, aur Ladkiyaan apsara
Har chere pe khusiyun ka rang chad jaata hai tayohaar mein
Log gale milte hain ik duje se khul k pyar mein

Phir aaj kyon kya huva kyon ronak nahi hai aaj
Kyon tayohaar pe khamosh hai aam adami ki awaaz
Kyon Hindu Muslim ka farak ho raha hai Teej par
Kyon insaan ko bhanta ja raha hai aaj Eid par

Na Hindu ko raas nafrat, na Muslim ko raas vehshat
Iss desh ko chala sakti hai, mere yaaro sirf mahobat
Kishtwar Guwahti ya Delhi khoon bahvo na keemati tum
Kyon ki khoon insaaniyat ka hota hai, marre adami ya aurat


Aavo sabi mil k khate hai yeh kasam
Koi kuch bhi kare saat saat rahe ge hum
Jaisa pehle hoti thee ronak tayohaar ki
Vaise hi hum khusboo bekehren ge pyar ki

Phir se sabhi mil k manaye ge Christmas
Phir se sabhi mil k khelen ge holi
Phir se Dewali pe bhante jayen ge toffe
Hume mil jayen k saat saat rehne k mooke

No comments:

Post a Comment