Friday 25 July 2014

GAZAL: Tera Mera Shehar

Ab tera shehar bhi tera nahi, aur mera shehar bhi mera nahi
Anjaan sabhi ab log hain, koi pehchane apna chera nahi

Yeh kaisa waqt hai aa gaya, tere mere saath ke darmiyaan
Meri subha ki koi raat nahi, teri raat ka koi savera nahi

Apne sitare aisse gardish mein hain, ke rukh see gayi hai jindagi
Teri dharti bhi thami see lage, aur mere chnad ka bhi ab fehra nahi

Chandani ne kal kaha chand se, ke main kaisee teri ho gayi
Meri doli kabhi bhi uthi nahi, tune bhanda kabhi sehra nahi

Apne dil mein basa ke tujhe, maine pa liye hain donu jahan
Kon hai joh nahi yeh maanta, ke sacha dil khuda ka dhera nahi

Kitni ajeeb see baat hai ke sabkuch mera cheen ke bhi woh
Sarre aam yeh kehte firte hain, ke unn ke pass kuch mera nahi

Aey dil sacch ko chod ke, tu bhi seekh le jhoot bolna
Agar aisa tu kar na sakka, phir kuch bhi yahan tera nahi

Yeh aur baat hai ke main chupa leta hoon dard seene mein
Aisa nahi ke tere yaadun ne, mere khayalun ko kabhi gehra nahi

Kisi ki bewafai ko dekh kar "Chahat", aaj maine bhi yeh jaana hai
Dil jab kisi ka badalta hai, toh bach sakta uss ka chera nahi








No comments:

Post a Comment