Wednesday 25 September 2013

Dil ki Baat Aise Bhi Kahi Jaati hai

Tuje dekh k apne hone ka aishash hota hai
Main jee udhti hoon jab bhi tu mere pass hota hai
Teri ankhun mein jab dekhti hoon apne liye khawaab
Tu mera hai sirf mera hai mujhe vishwash hota hai.

                               ---------------
Meri ankhun se mere dard ko pehchanane wale
Meri muskarahat kyon tuje feeki na lagi aaj
Kya huva kyon tere pyar mein aa gaya hai fark
Kyon chere ki chamak tujko jhooti na lagi aaj.

                                 ---------------------
Muskilun mein sabar karna aasaan nahi hota
Sabar joh karta hai woh ban jaata hai insaan
Sukh mein bhi joh na badle apne rang aur dhang
Aisa joh kar sakke wohi ho jaata hai mahaan.

                                 -----------------------
Bas itna sa pyar de muje, k baaki ki jindagi
Tera naam le le k main kaatun aaraam se
Pyar se badi koi khusi hoti nahi, yeh jaan k
Main apnu mein baaki khusiyaan bantu aaraam se.
                       ------------------------
Aey dost mere kabhi bhi apne, aise naa halaat they
Naa teri sansun mein thee gutan, naa hontun pe sawaalaat they
Dukh aaye ya sukh mille, moun mor k kabhi naa hum chale
Muskil waqt jab bhi aaye, tab bhi hum donu saat saat they
                              ---------------------------
Par ab yeh kya ho gaya hai, apne pyar ko
Khijaan loot k le gayi, apni bahaar ko
Maine kitni jeete darz ki hain, teri khatir "Chahat”
Kyon dil se laga liya, tune meri ek haar ko

                              -----------------------------
Main kabhi bhi tuje chod k ja sakta hoon, yeh jaan le dost
Main phool nahi khusboo hoon, hawavun mein bikhar sakta hoon
Maana mujh mein kush kammiyaan hain, par phir bhi 'Chahat"
Tera saath agar mila toh, badal sakta hoon sanvar sakta hoon.

                              ----------------------------
Teri talash kya karunga apni talash mein
Kab se main bhatak raha hoon anjaan rastun mein
Tujse naya rista jodhne ki chah mein
 "Chahat" daraar pad gayi hai mere apne ristun mein.
                             ------------------------------
Aurat ko samaj paana gyan hi nahi vigyan bhi hai
Aurat jindagi bhi deti hai aur maut ka samaan bhi hai
Kaash k hum bhi samaj pate aurat ki andar ki baat
Aurat paheli hai jisse suljaane ka dil mein armaan bhi hai
                   --------------------

Meri khata ki mujko saza deejiye
Par khata kya hai yeh toh bata deejiye
Agar pyar karna khata hai meri
Toh dil ka kehdi bana deejiye
Agar aur koi khata hai meri
Toh feshala abhi hi suna deejiye
Kyon k ashiq hote hain bade besabar
Yaad rakhiye yeh naa bhula deejiye.

                  ---------------------------
Maine ristun ko paise se bada samja yehi meri khata nikli, 
Main haatun ki maiel kehta raha par daulat hi khuda nikli
Zaroorat padi toh bhag gaye mere sabhi ristedaar,
Paisa k aage feeka pad gaya mere dil ka saara pyar
Yehi waza thee k wafa ki devi bhi bewafa nikli,
                                ----------------------
Mamta mein pyar hai, aur pyar mein hai mamta
Bacha jisse kehte hain, sirf haad mass se nahi banta
Ma doodh k saat khoon pila k, uss ka jeewan savarti hai
Ma Baghwan agar nahi to uss ki pooja aur aarti hai.

                         --------------------------
Waqt k saat acchi ya bhuri har seh badalti hai
Roop rang feeka padta hai umar aur jawani dalti hai
Par acche insaan k acche gunn waqt k nahi mohtaaj
Acche insaanu ki jundagi waqt se aur aur savarti hai.

                        ----------------------------
Tere pyar ki khatir main sehta raha har ek dard
Maine sunna tha har dead ki dava pyar hai
Naa dard mera kam huva naa tu hi aa k mila
Mere dard ko aaj tak dava ka intazaar hai.

                            -----------------------
Na Hindu rahe ga khatre mein,Sikh Isaie na Musalmaan
Agar har ek Hindustani ban k rahe sirf sacha insaan
Jis ka dil dharakta ho desh ki khatir naa k dharam k liye
Joh apna neta chunta ho vote deta ho sirf karam k liye.

No comments:

Post a Comment