Tuesday 3 September 2013

Ik Janam Ki Nahi Mujse, Tu Saatun Ki Baat Kar

Maathe ka jikar kar ya haatun ki baat kar
Ik janam ki nahi mujse, tu saatun ki baat kar
Tuje dekh lena mere liye kaafi nahi hai humdum
Mujse se tu lambhi lambhi mulakatun ki baat kar

Ik pal ik lamha ik ganta. ik din  ik saal
Jindagi chalti rehti hai, iss ki rukhe na chal
Ik din ka saat, ik raat ka saat, kuch nahi mere liye
Main jahan pe aaya hoon tere vaste savere liye
Mera saat agar dena hai tu aisa kar le kaam
Dinu ka vaada kar aur raatun ki baat kar 
Ik janam ki nahi mujse, tu saatun ki baat kar

Tere siva mujko na koi samja hai na samje ga
Dil ki gali k pass se tu jab bhi gujre ga
Dil mein tadap uthe gi kisi purane pyar ki
Tuj tak ponch k khatam hogi kasak mere intazar ki
Duniya ko bhool ja agar hona hai mera
Meri ankhun mein aa k jhank aur zazbatun ki baat kar
Ik janam ki nahi mujse, tu saatun ki baat kar

Meri haatun ki lakeerun mein tera hi naam hai
Phir gardish mein mere sitare  kyon rahe
Waqt kitna gujra hum ko alag rehte rehte
Phir bhi tum jaan se pyare kyon rahe
Koi toh waza hai k mille hain bichar k hum
Koi na jaane k hain musafir kidar k hum
Khuda jaane uss k pass jin ka jawab
Tu jaane wafa aisse savalatun ki baat kar
Ik janam ki nahi mujse, tu saatun ki baat kar
 

No comments:

Post a Comment