Friday 20 September 2013

Yeh Meri Deewangi Hai


Zara sa imtihaan le mera, todha nirash hone de
Tu mera ho sakta hai, muje vishwash hone de
Khein aisa na ho yeh jaan k, jaan chali jaye meri
Tu mera ban chuka hai, dil ko aishash hone de.

--------------------------------------------------
Iss se pehle k tu mere dil se utar jaye
Iss se bethar hai k tu door hi chala jaye,
Door javo ge toh yaad aavo ge kabhi kabhi
Dil se uttare toh ban javo ge ajnabhi
-------------------------------------------------
Tu muje chod k jaye gi main kabhi maanta nahi tha
Ab yeh maanta hoon k tuje poora jaanta nahi tha
Anjaane mein hi sahi maine sachi mahobat ki hai
Khuda mile na mile maine ebadat ki hai
------------------------------------------------------
Apni dewaar k saaye bhi ab apne na rahe
Main dekh raha hoon aajkal woh mujko goorte hain.
----------------------------------------------------------------
Patni ne kahi aur pati ne maani,kaatni pade gi beta aisay hi jawaani
Pati ki baat patni maanti hai, kitabu mein milti hai aisee kahani.

--------------------------------------------------------------------
Toote aishash ki tarah dil mein, reh jaati ho kabhi kabhi
Yaad ban k muje mein bassi ho, keh jaati ho kabhi kabhi
Sansun mein bas jaavo aisay, phir jaana kabhi na ho
Ankhu se ansoo ban k kyon beh jaati ho kabhi kabhi.

----------------------------------------------------------
Barbaad jis ne kiya muje wohi mujse kehta hai
Apni salamati ka khayal mujko hi karna hai
Hai pyar jis na naam woh karna nahi aasaan
Kabhi marr k jeena hai kabhi jee k marna hai.
----------------------------------------------------------
Chand bhi mera nahi aur sitare bhi gher hain
Main tanha hoon akela hoon kaisa asmaan hoon
Apni talash mein kab se phir raha hoon "Chahat"
Koi mujse keh gaya tha main achha insaan hoon.

------------------------------------------------------
Mere ghar k chirag ko hawavun ka darr nahi
Dil ki lo se iss ko jalaye huve hoon main

---------------------------------------------------
Har ek ko kheinch leni chahiye, apne liye ek luxman rekha
Aur uss k andhar hi chalani chahiye, apne jeewan ki noka

------------------------------------------------------
Seene se lag k uss ne, peeth pe kiya vaar
Gale laga k joh aaye tha, karne mujse pyar
Bahut bada dokha tha, kha liya maine "Chahat"
Par ab uth gaya hai mera, mahobat se aitbaar.

--------------------------------------------------
Itni bhi na dher kar, mere yaar aane mein
K umar kaatni pade muje, tujko bhulane mein
Jab se kiya hai pyar, tab se fikar hai "Chahat"
K tera naam kaisa aayega, mere fasane mein.

------------------------------------------------------
Tadapte huve aey yaar muje na chod raste mein
Khusiyaan lene gaya tha tere hi vaste main
Manjil pe ponchane ki umeed ab kahan
Sabkuch mera lut gaya ek hi hadse mein.
---------------------------------------------------------
Kuch log jindagi mein, duva ki tarah aaye
Kuch badnaseebe ki tarah aaye, barbaad kar gaye
Tum kyon chale gaye, jab aaye they duva ban k
Poocho na humne kya hum, tere baad kar gaye.

------------------------------------------------------
Wafa ka meri sila kuch toh ho
Wafa mein muje mila kuch toh ho
Usse pura haq hai naraaz hone ka
Magar pehle mujse gila kuch toh ho

------------------------------------------
Yaad kisi ko kiya na jaye, yaad toh aa jaati hai
Kabhi khusi ko le k aaye, kabhi rula jaati hai
Teri yaad k haatun mein mera jeena marna hai
Kabhi gehri neend muje de, kabhi jaga jaati hai

---------------------------------------------------------
Apna rista aisa hai ulja hiva, nakaam ho gayi hai suljane ki koshishein saari
Aisa lagta hai hamare pyar k peeche, pad gayi hain jahan ki muskilein saari
Pyar mein sabar ka imtihaan dete dete, thak gayi hain apni dharkane saari
Itna waqt ho gayi hai intazar karte karte, dam todhne lagi hain "Chahat" hasratein saari

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tala kismat ka khul gaya jaise
Tu muje aa k mil gaya vaise
Dekh k tujko mere saath log kehte hain
Himalaya parbat hil gaya kaise
Kya yehi hai jisse log pyar kehte hain
Tu sansun mein gul gaya jaise.

----------------------------------------
Unn ki khamoshi keh gayi hai mujko bahut see baatein
Main zubaan khol k bhi unn se keh saka naa pyar hai
Yeh kaisa more aa gaya hai rah mein chalte chalte
K koi apna hi apne beech mein ban gaya dewaar hai.
-----------------------------------------------------------------
Bahaar bhi chali gayi, tumare intazar mein
Dil k phool na khile, kyon apne pyar mein
Kaisa alag ajeeb sa, hum donu ka pyar hai
K jeet see mehsoos ho, dil ki haar mein.

---------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment