Sunday 29 September 2013

Apna Rista

Apna rista jaisa bhi hai ajeeb hai rista
Mere dil k bahut hi kareeb hai rista
Apni takdeer mein kya hai yeh khuda jaane
Par ban gaya ab mera naseeb hai rista. 

Mera farz hai iss ko paal k rakhna
Dil k bahut andhar sambhal k rakhna
Khein koi isse cheen k na le jaye
Apne sanche mein iss ko dhal k rakhna
Yeh mere dil ko sakoon deta hai
Kon kehta hai garib hai rista.

Chahanewale ladte hain roothte hain
Log kehte hain riste bante tootey hain
Ristun ko sambhal k rakhna bada zaroori hai
Kabhi dil k arzoo kabhi mazboori hai
"Chahat" tang karta hai yeh kabhi kabhi mujko
Phir bhi nahi mera rakeeb hai rista.

No comments:

Post a Comment