Friday 20 September 2013

Kuch Aur Dil ki Baatein

Khilone se khelne wale, apne zazbatun se bhi khel gaye
Hum pehle bhi unn se haarte they, hum aaj bhi jeete nahi.

                               -----------------------
Bahaar bhi chali gayi, tumare intazar mein
Dil k phool na khile, kyon apne pyar mein
Kaisa alag ajeeb sa, hum donu ka pyar hai
K jeet see mehsoos ho, dil ki haar mein.

           ---------------------

Jindagi k iss safar mein, ik aisa daur bhi aaye ga
Jab teri yaad aaye gi, yaad kuch aur bhi aaye ga
Teri yaad mujse pooche gi, sawaal chubne wale
Sansun mein dharkanu mein, kuch shor bhi aaye ga.
            ---------------------
Main tum ko accha kehta raha teri burai ko bhool k
Tu dokha deta raha muje meri acchai ko bhool k
Yeh baat bade jigre ki hai tu bhi jaan le aey dost
Main aaj bhi tujko chahata hoon teri bewafai ko bhool k.
                       -------------------------
Dil ki shakal soorat jaise bhi ho, pyar karnewala dil hi hota hai accha
Dil kya samje ga falsafa kisi ka, yeh nadaaniyaan karta hai hota hai baccha
Dil ki bas sab se badi khoobi yeh hai, Aaina jaise hai vaise hai sachha
 ___________________________________
 
Kaash k tum ne zubaan pyar se kholi hoti
Sehad ki tarah meethe teri bhi bholi hoti
Meri baat ko poora samja k soocha hota
Saat saat rehne ka aaj bhi mokha hota

Par tu ne meri sunni na logon ki maani...
Barbaad kar gayi tuj ko teri apni jawaani
Mere fasane mein tera jikhar nahi aaya
Bante bante "Chahat"reh gayi prem kahani
------------------------------------------------------
Ranjisun ko dil se nikaal dijiye
Dil ka sikka phir se uchaal dijiye
Iss baar chit aur pat donu hongen aap k
Pyar k sanche mein khud ko dhal dijiye,
         -----------------------
Tere pyar se zayada maanga kuch nahi,
Aur na chahiye kuch bhi tere pyar se kam
Tu agar mil gayi to ban jaye ga mukadar mera
Vaise toh naseeb mein phele hi bahut se hain gum
Tu agar na mili toh ankhen rahe gi hamesha hi nam
Tu nahi hogi meri toh jee k kaya karen ge hum
                       --------------------
Tuje milne ki cha hai aur tere dedaar ki hai hasrat
Maine maan bhi liya k muje tere pyar ki hai hasrat
Muje poori umeed hai k yeh hasrat ho jayegi poori
Nekh insaan ki hai nahi kisi gunhagaar ki hai hasrat

No comments:

Post a Comment