Wednesday 12 February 2014

Badlen Ge Raje Par Praja Toh Wohi Hai

Badlen ge raje praja toh wohi hai
Gunha kuch bhi karo saza toh wohi hai
Kaise phalen ge ped podhe mere sehar k
Mausam hain badle par hawa to wohi hai.

Kuch apne haalun ne maara mujko
Kuch kismet meri  khoti nikli
Bahut toot k ki mehnat maine
Par mehnat se  na meri roti nikli
Udhaar le le k  jindagi chal rahi hai
Khaad se bhi na dil ki saakh fal rahi hai
Gareebe kal bhi dusman thee meri
Aaj bhi haarne ki wajha toh wohi hai.
Kaise phalen ge ped podhe mere sehar k
Mausam hain badle ..........................

Pyar kar k bhi na pyar paya hai maine
Pyar mein sab kuch hi gavaya hai maine
Dard-o-gham itne k jiya bhi na jaye
Zehar haat mein hai piya bhi na jaye
Dil pe zakhm maine pehle bhi hain  khaye
Ab yeh dil kis ko ja k bataye
Chot tune jahan lagai muje hai
Aey dost mere woh jagha toh wohi hai
Kaise phalen ge ped podhe mere sehar k
Mausam hain badle ..........................

Apni jindagi kuch aise basar ho rahi hai
K sache dil ki duva bhi beasar ho rahi hai
Maine apne haalaat chupaye they sabhi se
Par phir bhi sab ko khabar ho rahi hai
Maine apne chole badle hai baar baar
Phir bhi na ho saka hai khuda ka deedaar
Duva asar kya kare gi Chahat
Main badla bhi javun par khuda toh wohi hai
Kaise phalen ge ped podhe mere sehar k
Mausam hain badle ..........................

No comments:

Post a Comment