Friday 13 January 2017

Lohri

Mere desh accha, desh ke tyoharun ka kya kehna
Sab khusiyaan manaye, Ma Pita Bhayia aur Behna
Rang, naach, mauz masti, kya kya nahi hota hai
Naye kapdun ke saat saat jachta hai naya gehna

Aaj hai Lohri isse bhi khul ke manavo
Gille shikwe saare sabhi phul ke manavo
Nahi bhi aati ho phir bhi bolo Punjabi
Chupp na raho khul ke dil kholo Punjabi

Punjab se suro ho ke yeh saare desh mein fela hai
Deewali agar badi hai yeh nehle pe dehla hai
Lohri ke tyohar ka ik apna hi maza hai
Lohri hai yeh shor aaj har ek jagha hai

Sunder Mundri bhi saj daj ke khadi hai
Lag rahi sab ko ke woh sunder badi hai
Kisi Sundri ne pehna hai kurta pyajama
Kisi ki Anarkali ki Chunri taarun se jhadi hai

Sab de rahe hai ik duje to mubarkein dil se
Koi bhi nahi darr raha cold january ki chil se
Sab taraf hai mauz masti har chehra khila hai
Mujhe bhi pyar ho gaya apni Heer ke til se

Gidda pandhi hai sundri naach rahi hai khoob
Mauz masti ke rangun mein woh gayi hai dhoob 
Gabroo Punjabi bhi Phangre witch mast hai
Saare khusi se jhoom rahe kisi ko na kast hai

Aag se thanda mausam bhi ho jaya ga garm
Khul ke sabhi nachoo aaj na karo koi sharam
Rewri Gajjak MungPhali bhi chav se khavo
Bade chote sabhi mil k aaj Lohri manavo

Hindu Muslim Sikh Esai har ek Lohri manata hai
Sundar Mundriye Ho Tera kaun vicharaa gaata hai
Iss bhar ki Lohri ho aisee jo yaad rahe sab ko
Aavo yehi arzi den hum sab mil ke apne rab ko.

No comments:

Post a Comment